ghalat logon ki barish ho rahi hai pani ki bajae un ki nahusat baras rahi hai ek kutta raat aur din ke darmiyan khada ro raha hai ghalat barish nahusat aur kutte ki aawaz se zindagi ke kisi bhi farsh par sulane wali nind lazim hai magar nind ko to aadmi ki aankhon ke upar se utha liya gaya hai yani ab qayamat tak sirf jagna hai aur us ke siwa maidan-e-hashr ho bhi kya sakta hai koi nahin jaanta ki jaanne se pahle kis ne kitna jaana kis ne azal aur abad ke tul-o-arz ko jaana ya jaane baghair hi ghalat zamin ki ghalat duniya mein ghalat zindagi guzri gai to kya wo maut thi jo kisi ko zindagi se le jaane ke liye aai ya nahin aai magar ye jo sare manzar kisi nahusat ne dikhae wo kis nam ki buniyaad se shurua hui ya shurua na ho ke kis nam par khatm hui khatm hui bhi ya nahin jhut ne sach se kya kaha ya sach ne jhut se kya kaha hamare hote hue jo bisat-e-zindagi utha di gai wo ab kaun bichhae hawa ne kabhi koi diya raushan nahin kiya hamare hote hue jo bisat-e-zindagi utha di gai wo ab kaun bichhae hawa ne kabhi koi diya raushan nahin kiya to jab hum nahin honge phir hamare banae hoe rasta par kaun chalega mohabbat nam deti hai nam mitati nahin to ab mohabbat ko mohabbat se khatra lahaq hai wahshat se kaho ki wo zara khidki khol kar dekhe kahin duniya boliyon aur zabanon ka malba ho chuki ho aur hamein pata na chala ho kahin malbe se dhundh dhundh ke tarah tarah ke bazar nikale aur lagae ja rahe hun aur hamein pata na chala ho zara edison ki ruh se puchho us ke bulb khwab-gah aur murda-khane mein ba-yak-waqt kyun raushan hote hain mohabbat jab aawaz bani to aawaz se boliyan aur zabanen kab banin kya zamin par koi jang zamin ke bahar ladi gai agar nahin to kya zamin par saton aasman nazil hue agar nahin to zamin par zamin nazil hui