master ji bahar gae hain master ji gae zara bahar ab nazar kya rahe kitabon par dil hi dil mein hain sare ladke shad goya qaidi the ab hue aazad ab kitaben kahan sabaq kis ka padhna-wadhna khayal se khiska ek hansta hai ek gata hai aur ek chutkiyan bajata hai ek baithe hi baithe sota hai aur ek jhut-mut rota hai mashware kar rahe hain do baham aao chupke se uth ke chal den hum ek goshe mein goliyan khelen ya ground mein chal ke dand pelen copy ek jald jald bharta hai dusra us se naqal karta hai ghar se lae nahin hain kar ke sawal master ji se ab karenge chaal ek ne bandha hai gal par rumal taki puchhen na is se koi sawal dadh ke dard ka bahana hai chhutti leni hai ghar ko jaana hai sath baaten bhi hoti jati hain shokh ghaten bhi hoti jati hain ek kahta hai nazm yaad nahin master sahab aa na jaen kahin yun hi tarkhaunga sunenge jab aata-wata mujhe nahin matlab mani mujh ko sujhate jaana tum chupke chupke batate jaana tum aur geograph chup are chup kar mim alif sin mas te re tar master ji ke aa jaane par jhat mil gai sab ko khabar aise ishaare ho gae ustad ka munh dekh kar chup chap sare ho gae ab is tarah khamosh hain goya kabhi bole na the aankhen uthai hi na thin aur lab kabhi khole na the ab hain kitaben samne baham nigah milti nahin hain bhagne wale bhi chup ab un ko rah milti nahin ab dadh bhi dukhti nahin ab dard sara tham gaya han hath hai lekin wahin goya wahin par jam gaya chehre kitabon se chhupe sari zabanen chup huin chutki wahin par rah gai siti ki tanen chup huin ab copiyan kam ho gain ab naql chal sakti nahin ustad se goya koi ab aql chal sakti nahin ye nanhe munne se jo hain shokhi mein hazrat ek hain surat to dekho aap ki goya bahut hi nek hain dil mein shararat hai bhari dam sadh rakkhe hain magar dekho phir in ki shokhiyan ustad phir jae agar