magar meri aankhon mein

meinh barasta hai
aangan mein bundon ki rim-jhim mein

chidiyan chahakti hui chaar-su
ghumti hain

chhaton par ghane kale baadal
bane dewta jhumte hain

sutunon se lipti hui
surkh phulon ki belen

baraste hue meinh ki bauchhaar mein
apna joban nikhaare

machalti hain
aangan mein khulte hue khali kamre

andhere ki bakal mein simte hue
guzre waqton ki madira piye

unghte hain
khamoshi

ghane baadalon ka andhera
hawa ke tadapte hue sard jhonkon mein

bundon ki rim-jhim
ye lagta hai

sadiyon se thahra hua waqt
mausam ke nashe mein be-khud hua hai

magar meri aankhon mein
sawan ki guzri hui rut ke lamhe

jali ghas ki pattiyan ban ke chubhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close