khayal shaitan ki aant ki tarah umudi duri ke maidan mein khada hai doston ke haj ka zamana un ke gird tawaf karta rahta hai bahte pani mein hath dubo kar tumhein chhu leta hun shisham ke ped pe fakhta bolti rahti hai mere pas sirf mera rasta hai jis se main anjaan hun dhup ke khel mein sayon se nahin ulajhna chahiye