yun to unche unche parbat gahre nile aasman par dudhiya baadal jhilen jal-thal bhigi raat hawa ki khunki aur mere jangal ki masti sare hi manzar achchhe the rahon mein taron ki dhanak thi phulon mein bharpur mahak thi hum tum the aur mast fazaen wahin pe ji chaha kho jaen lekin phir ek soch ye ubhri phul khilana chand sajaana raat ka lana din lautana jangal ko sarsabz banana fitrat ka bharpur amal hai aur jab ye qanun atal hai hum apni hasti ke sabab ko kyon ki ab tak jaan na pae ye socha aur hum laut aae