jab bhi kabhi jannat ko tasawwur mein basaya ai man meri khud ko tere qadmon mein hi paya duniya ke kisi ped ki chhanw mein nahin hai jo mujh ko ata karta hai thandak tera saya us rab ka ada shukr bhala kyon na karun main jis ne teri surat mein hi jannat ko dikhaya dharti pe main ab is liye pairon pe khada hun main chalte hue jab bhi gira tu ne uthaya yun hi to nahin guzra ye jhonka mujhe chhukar 'khalid' mujhe lagta hai meri man ne bulaya