tagore jin gulon mein hai ab shumar tera muddat se un gulon ko tha intizar tera lekin payam-e-furqat afsos jab se aaya ek aalam-e-tafakkur hindostan pe chhaya is ke dil-e-hazin ka tha tu habib baqi ek tu hi rah gaya tha is mai-kade ka saqi tuti si ek mina ab tujh ko ro rahi hai ro ro ke munh wo apna ashkon se dho rahi hai mulk-e-sukhan ka tujh sa farman-rawa na dekha duniya-e-shairi ka tujh sa khuda na dekha dhunda karengi tujh ko hasrat bhari nigahen jaengi sath tere is desh ki duaen kuchh bebasi ka aalam gar ai khuda na hota tagore is tarah se hum se juda na hota