hamare yahan bachche ko jo abhi puri tarah khada hona bhi na sikha ho pistol hath mein de di jati hai do chaar bar use zamin par gira kar use pistol sambhaalna aur phir hat ko zara si jumbish se use ungliyon ke darmiyan phir ki ki tarah bhi aa jata hai ladakpan phalangne se pahle use do ek aadmi girana hote hain bade hone par us ke hathon mein asli banduq ya machine-gun thama di jati hai ab us se tawaqqo ki jati hai ki wo do ek afrad ko girane par iktifa nahin karega balki kai insanon ke khun se apne hath rangega mujhe e'tiraf hai hamare yahan sab log aisa nahin kar pate kuchh to khilauna pistol hi se apni na-pukhta umr mein khud ko halak kar lete hain kuchh aise bhi hain jo sach-much ki pistol ko bhi khilauna hi samajhte hain is liye unhen is liye licence ki zarurat bhi mahsus nahin hoti jinhen wo halak karte hain aksar un mein us ke qaribi dost ya aziz-o-aqarib hote hain unhen halak karne ke baad ye dekh kar wo hairan rah jate hain ki un ke hathon mein sach-much ki pistol aa kaise gai aur wo kab se kisi ke nishane par the