mere khwabon ke jharokon ko sajaane wali tere khwabon mein kahin mera guzar hai ki nahin puchh kar apni nigahon se bata de mujh ko meri raaton ke muqaddar mein sahar hai ki nahin chaar din ki ye rifaqat jo rifaqat bhi nahin umr bhar ke liye aazar hui jati hai zindagi yun to hamesha se pareshan si thi ab to har sans giran-bar hui jati hai meri ujdi hui nindon ke shabistanon mein tu kisi khwab ke paikar ki tarah aai hai kabhi apni si kabhi ghair nazar aai hai kabhi ikhlas ki murat kabhi harjai hai pyar par bas to nahin hai mera lekin phir bhi tu bata de ki tujhe pyar karun ya na karun tu ne khud apne tabassum se jagaya hai jinhen un tamannaon ka izhaar karun ya na karun tu kisi aur ke daman ki kali hai lekin meri raaten teri khushbu se basi rahti hain tu kahin bhi ho tere phul se aariz ki qasam teri palken meri aankhon pe jhuki rahti hain tere hathon ki hararat tere sanson ki mahak tairti rahti hai ehsas ki pahnai mein dhundti rahti hain takhil ki banhen tujh ko sard raaton ki sulagti hui tanhai mein tera andaz-e-karam ek haqiqat hai magar ye haqiqat bhi haqiqat mein fasana hi na ho teri manus nigahon ka ye mohtat payam dil ke khun karne ka ek aur bahana hi na ho kaun jaane mere imroz ka farda kya hai qurbaten badh ke pasheman bhi ho jati hain dil ke daman se lipatti hui rangin nazren dekhte dekhte anjaan bhi ho jati hain meri darmanda jawani ki tamannaon ke muzmahil khwab ki tabir bata de mujh ko tere daman mein gulistan bhi hain virane bhi mera hasil meri taqdir bata de mujh ko
This is a great judai shayari image download. True lovers of rone wali shayari will love this. Please share if you liked this!!!