main us ko dekhun to jage shuur-e-khwabida main us ko sochun to phute ufuq pe subh ki pau rida-e-shab ko samete kiran tamanna ki rah-e-hayat se zulmat ka karwan hat jae sanam-kada wo mohabbat ka us ki dewi bhi main us ko husn likhun husn ki kitab likhun kanwal tarashun ki chehre ko ek gulab likhun shabih-e-fikr likhun paikar-e-khayal likhun mataa-e-sher likhun sher ka jamal likhun suluk lahje ka us ke ki jaise amrit-ras wo jaan-farebi-e-izhaar-e-dil-nawaz-e-sukhan jabin pe wusat-e-qalb-o-nazar ki tahriren hadis-e-mehr-o-wafa ki hasin tafsiren ghurur-e-ishq un aankhon ka ehtiram kare wo aasman hai zamin us se kya kalam kare