maut mujh par bar-haq nahin

main marne ke liye paida nahin hua
mujh par kisi qism ka hamla
us muahide ki khilaf-warzi hogi
jis par ek ghaibi hath aur main ne
dastakhat kiye the
aur jis ki ru se
maut mujh par bar-haq nahin thahri thi
zinda rahna ab mera dard-e-sar nahin
main ye fariza
tarikh ko saunp chuka hun
tarikh jo meri ragon mein
zahr ki surat dakhil hui
aur ab amrit ban kar
mere masamon se
qatra qatra tapak rahi hai
maut se meri koi shanasai nahin
main us se darkhwast karunga
wo mere khilaf
kisi sazish mein sharik na ho
ki mere pas
muahide ki jo naql mahfuz hai
us par us ke dastakhat
ba-taur-e-gawah maujud hain
This is a great ishq ke khilaf shayari. True lovers of mohabbat aur paisa shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore parveen shakir shayari in hindi. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close