gul hui jati hai afsurda sulagti hui sham dhul ke niklegi abhi chashma-e-mahtab se raat aur mushtaq nigahon ki suni jaegi aur un hathon se mas honge ye tarse hue hat un ka aanchal hai ki rukhsar ki pairahan hai kuchh to hai jis se hui jati hai chilman rangin jaane us zulf ki mauhum ghani chhanw mein timtimata hai wo aaweza abhi tak ki nahin aaj phir husn-e-dil-ara ki wahi dhaj hogi wahi khwabida si aankhen wahi kajal ki lakir rang-e-rukhsar pe halka sa wo ghaze ka ghubar sandali hath pe dhundli si hina ki tahrir apne afkar ki ashaar ki duniya hai yahi jaan-e-mazmun hai yahi shahid-e-mani hai yahi aaj tak surkh o siyah sadiyon ke sae ke tale aadam o hawwa ki aulad pe kya guzri hai? maut aur zist ki rozana saf-arai mein hum pe kya guzregi ajdad pe kya guzri hai? in damakte hue shahron ki farawan makhluq kyun faqat marne ki hasrat mein jiya karti hai ye hasin khet phata padta hai jauban jin ka! kis liye in mein faqat bhuk uga karti hai ye har ek samt pur-asrar kadi diwaren jal-bujhe jin mein hazaron ki jawani ke charagh ye har ek gam pe un khwabon ki maqtal-gahen jin ke partaw se charaghan hain hazaron ke dimagh ye bhi hain aise kai aur bhi mazmun honge lekin us shokh ke aahista se khulte hue hont hae us jism ke kambakht dil-awez khutut aap hi kahiye kahin aise bhi afsun honge apna mauzu-e-sukhan un ke siwa aur nahin taba-e-shaer ka watan un ke siwa aur nahin
This is a great mast shayari for love in hindi. Please share if you liked this!!!