mehnat se ye mana chur hain hum aaram se koson dur hain hum par ladne par majbur hain hum mazdur hain hum mazdur hain hum go aafat o gham ke mare hain hum khak nahin hain tare hain is jag ke raj-dulare hain mazdur hain hum mazdur hain hum banne ki tamanna rakhte hain mitne ka kaleja rakhte hain sarkash hain sar uncha rakhte hain mazdur hain hum mazdur hain hum har chand ki hain adbar mein hum kahte hain khule bazar mein hum hain sab se bade sansar mein hum mazdur mein hum mazdur hain hum jis samt badha dete hain qadam jhuk jate hain shahon ke parcham sawant hain hum balwant hain hum mazdur hain hum mazdur hain hum go jaan pe lakhon bar bani kar guzre magar jo ji mein thani hum dil ke khare baaton ke dhani mazdur hain hum mazdur hain hum hum kya hain kabhi dikhla denge hum nazm-e-kuhan ko dha denge hum arz-o-sama ko hila denge mazdur hain hum mazdur hain hum hum jism mein taqat rakhte hain sinon mein hararat rakhte hain hum azm-e-baghawat rakhte hain mazdur hain hum mazdur hain hum jis roz baghawat kar denge duniya mein qayamat kar denge khwabon ko haqiqat kar denge mazdur hain hum mazdur hain hum hum qabza karenge daftar par hum war karenge qaisar par hum tut padenge lashkar par mazdur hain hum mazdur hain hum
This is a great raj movie shayari. True lovers of shayari on rajput banna eyes will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore balwant gargi shayari. Please share if you liked this!!!