qadam mitti pe rakhti ho ki arsh upar thaharte hain ki jab tum panw dharti ho to dharti ke jigar ki dhadkanen bhi aazmati ho bahaaron mein bikhartin to tumhein bas dhundte phirte magar tum rang-o-bu ko apna pas-manzar banati ho khush-dili ke qahqahe ki nuqrai ghanti ke naghmon ki khanak ke sath sare manzaron par phail jati ho wo saat jis mein tum dam lo zamane ki har ek taqdim se bahar koi phaila hua lamha thaharti hai wo sab goshe jahan tanhai tum ko khinch le jae wahin to reshmi nikhat ki tanwiren bikharti hain ye taswiren ki jin mein tum ne dekha log din ke haft-khwan ko katte guzre ye sab khun thukte zakhm apne apne chatte insan faqat us sham ki aahat pe jate hain jahan tum ho