khuli faza mein saf hawa ke jaisa wo barish ke pani ke jaisa wo gahra tha mitti se rishta pairon ka us rishte ke bich na aai chappal bhi ghadi na bandhi kabhi kalai par us ne suraj-tare waqt use batlate the apne bal par apni dhun mein rahta tha nahin kisi se ganw mein wo darta tha nam ki khwahish thi na use pahchan ki thi bas apne kaamon se matlab rakhta tha wo dana tha wo mitti tha wo pauda tha wo mausam tha wo sachcha khalis insan tha jaise aadam aur hawwa the wo tanha tha ek bade se ghar mein tanha rahta tha bhainsen us ke sath thin us ki baat samajhti thin wo bhi un ki hi bhasha mein un se baaten karta tha ghar par aksar laga ke tala yunhi sa khaliyanon mein rahne wala bap mera kheton kheton basne wala bap mera aam ki chhanw mein sone wala bap mera ab mitti mein sota hai aam ke ped ki khushk jadon mein rota hai