meri aarzuon ke dewta main ajib thi main ajab rahi mujhe dasht-e-gham ko bhi chhanne ki talab rahi meri baat mein koi raat aa ke thahar gai meri zat mein koi zat aa ke guzar gai mujhe phir bhi dard ko jaanchne ki talab rahi kai ranj bhi hain nadamaton se mile hue kai shahr bhi hain adawaton se bhare hue kisi gham ke zor se zard hai mera shahr bhi mujhe yaad hai kisi sham-e-gham ka wo qahr bhi ye jo log hain ye bade ajib se log hain ye abhi talak na samajh sake hai kamal kya hai mohabbaton ka junub kya hai shumal kya hai uruj-e-dard-e-habib kya hai zawal kya ye samajh sake hi nahin hai hum ko malal kya mujhe wasl-e-yar ke falsafe pe yaqin hai ye jo hijr hai ye kisi guman se kam nahin meri aankh dasht hai muddaton se jo nam nahin sabhi kuchh hai bas yahan tum nahin ai habib-e-man ai tabib-e-jaan ye jo chashni hai huruf mein teri den hai ye jo naqsh hain meri aankh mein hai tera karam jo mithas hai meri baat mein teri baat hai mera mujh mein kuchh bhi nahin raha teri zat hai ai faqih-e-shahr tera bayan bhi jhut hai mujhe ishq hai to phir is mein koi dalil kya mujhe zabt milta hai roz gar to ye dard dard-e-sabil kya meri aarzuon ke dewta zara dekh le meri ruh wajd ki kaifiyat mein ghiri hui main jo sans sans mari hui tere dar pe kab se padi hui kabhi dekh le kabhi sar le ye bata mujhe hai qusur kya mere dewta mere baadshah bade zakhm hain bade zakhm hain meri ruh par tujhe teri shan ka wasta mere indimal ke waste zara muskura zara muskura ki sukun mile zara dur mujh se fishaar ho mere chaar-su tera pyar ho mere jism-o-jaan ki khizaon mein bhi bahaar ho to phir is ke baad wazahaten ye adawaten mujhe kab hain ras sakhwaten wahi aafaten ye musibaten meri zakhm-zakhm aqidaten meri dard dard iradaten main haqiqaton se kati hui mere chaaragar mujhe ras aain aziyyaten mera khwab thin jo mohabbaten