mera kya hai tum socho na

mera kya hai
main kyon sochun

aage rasta band pada hai ya koi manzil bhi hai
chaaron taraf pur-shor samundar ya koi sahil bhi hai

chalte chalte panw mein chhaale pad jaen aur dard ka bhi ehsas nahin ho
main kyon sochun koi jo mujh se ghafil bhi hai

mera kya hai
bachpan ki pahli thokar se jis ne sanbhalna sikh liya ho

nazuk kachchi umr se jis ne aag pe chalna sikh liya ho
dar se bahar aa kar jis ne har pal marna sikh liya ho

udna jis ka maqsad ho aur jis ne udna sikh liya ho
main kyon sochun

aane wala lamha mera dost hai ya ki dushman hai
dil ka milna qaid-e-ghutan hai ya sundar sa bandhan hai

mere jaisa mera saya us par tan-man arpan hai
jiwan mein hai prem chhupa ya prem mein sara jiwan hai

main kyon sochun
mera kya hai

ishq agar hai aag ka dariya
phir mujh ko ye aag pasand hai

ek mohabbat sab ka hal hai
mujh ko bas ye rag pasand hai

main kyon sochun
mera kya hai

apni aag mein jalna kya hai ab main chillati hun
main bhi patthar ho sakti hun yaad dilati hun

rasta band jahan hota hai dhund ke aati hun
apne dam se patjhad ki bhi pyas bujhati hun

mera kya hai
tum socho na


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close