dil-ruba lala ho faza teri mujh ko bhai na ek ada teri lutf se badh ke hai jafa teri wah-re hindostan wafa teri main na manun kabhi tera kahna main na bakhshun kabhi khata teri bar-tar-az-khar hai tera gulshan zahr se kam nahin hawa teri khali-az-kaifiyat teri har chiz baat har ek be maza teri dard-e-dil mein tadap ke mar jaun main na dhundun kabhi shifa teri kaun si baat teri lutf-amez kaun si chiz dil-kusha teri tujh ko jannat-nishan kahte hain hum jahannam ki jaan kahte hain tujh ko kas baat par hai naz bata kya nahin aur mulk tere siwa teri aab o hawa latif sahi tujh se badh kar spain ka khitta tujh ko apni zamin ka hai ghamand tujh se afzal kahin hai america hasan par apne naz hai tujh ko hasan tujh se siwa etaliya ka tujh ko ganga ka apni dhoka hai tu ne dekha nahin hai sin ko ja mausiqi par tujhe hai naz bahut is mein juz dard-o-gham dhara hai kya falsafa tera agle waqton ka falsafa dekh ja ke europe ka tujh mein phir aan kya rahi baqi teri mahfil na kuchh na kuchh saqi han murawwat ka tujh mein nam nahin han ukhuwwat ka tujh mein nam nahin tujh se bad-nam ishq sa ustad aur mohabbat ka tujh mein nam nahin aashti sikhe tujh se aa ke koi han khusumat ka tujh mein nam nahin teri har baat mein safai hai aur kudurat ka tujh mein nam nahin tujh ko aur hurriyat se kya nisbat is zarurat ka tujh mein nam nahin shad hain taire apne begane aur shikayat ka tujh mein nam nahin teri tahzib tujh ko maujib-e-fakhr han jahaalat ka tujh mein nam nahin baat duniya se hai juda teri wah ai hindostan ada teri tere rasm-o-riwaj ne mara is maraz ke ilaj ne mara teri ghairat nai kar diya barbaad khandanon ke laj ne mara kya karen har ghadi yahi hai fikr roz ki ehtiyaj ne mara aae din call ka hai zikr-azkar ek zara se anaj ne mara aur sab par waba ka ek turra is anokhe khiraj ne mara bakht bargashta aarzuen bahut hawas-e-sim-o-aj nai mara na karen kaam kuchh to khaen kya roz ke kaam-kaj ne mara tu to rahne ka kuchh maqam nahin tujh mein insaniyat ka nam nahin qaid tu ne kiya hasinon ko mah-jabinon ko nazninon ko zewar-e-ilm se rakha aari tu ne qudrat ke in naginon ko ikhtiyar o pasand ki ai hind kya zarurat na thi hasinon ko khub pahchani tu ne qadr in ki khub samjha tu in khazinon ko kuen jhankwae nazninon se zahr khilwaya mah-jabinon ko dube jate hain kaun aa ke bachae bahr-e-hasti ke in safinon ko tu makan tha makan ho ke diya khauf-e-aram in makinon ko tujh pe tahzib tan karti hai tujh pe ilzam khalq dharti hai aarzu hai tujhe hukumat ki jah-o-sarwat ki shan-o-shaukat ki kyun na ho tujh mein himmat-e-ali dhum har su hai teri jurat ki to ne kasb-e-funun-e-jang kiya sab mein shohrat hai teri quwwat ki qasmen khate hain log duniya mein teri millat teri ukhuwwat ki mulk-dari mein mulk-giri mein wah kya paida qabiliyyat ki tu to ustad se bhi badh nikla hairat-angez tu ne mehnat ki aap aalam mein tu hai apni misal aadamiyyat ki aur shujaat ki ham-sari ki kasi ko tab nahin tera aafaq mein jawab nahin dagh dil ke kise dikhaen hum aisa mushfiq kahan se laen hum dil mein hai apne ham-nashin ek roz aap ro kar tujhe rulaen hum is tabiat ko kas tarah bahlaen dil ko kis chiz se lagaen hum kab talak roz ke kahen sadme kab talak aafaten uthaen hum zahr kyun ai falak na hum kha len ji se apne guzar na jaen hum jo shikayat ho kyun na lab par aae ek dukh ho use chhupaen hum ai tamaddun ke rahat-o-aram hae kas tarah tum ko paen hum log uthate hain zindagi ke maze hum uthate hain na-khushi ke maze