mere charagh bujh gae main tirgi se raushni ki bhik mangta raha hawaen saz-baz kar rahi thin jin dinon siyah raat se unhi siyah saaton mein saneha hua tamam aaine ghubar se be-nur ho gae sara ke chaar samt haul-nak shab ki khamushi chamakti aankh wale bhediyon ke ghol le ke aa gai qaba-e-zindagi wo phad le gae nukile nakhunon se us tarah ki ruh chithadon mein bat gai kharab mausamon ki chaal thi ki aas-pas banbiyon se aa gae nikal ke sanp jhumte hue bujha diya safed raushni ka dil madad ko main pukarta tha aur dekhti thin putliyan tamasha ghaur se magar na aain bin le ke amn wali bastiyon se jogiyon ki toliyan siyah aandhiyon ka zor kab talak sahaarte mere charagh bujh gae