gulshan ka taqaza hai ki mai-khana bana de mai-khana mein ek mahfil-e-rindana bana de mai-kash koi mai pi ke mujhe dega duaen ai saqi-e-fitrat mujhe paimana bana de aashiq hun mujhe aql muafiq nahin aati behtar to yahi hai mujhe diwana bana de ulfat mera sarmaya-e-hasti ho khudaya furqat ko mita kar use afsana bana de main sokhta-jaan soz-e-mohabbat ka tamasha duniya ko dikha dun mujhe parwana bana de but-gar bhi tu khud but bhi tu but-khana bhi tu hai but ban ke mere sina ko but-khana bana de gar nazar-e-inayat ho 'puri' par to dua hai duniya ki hawas se ise begana bana de