meri ek buri aadat thi tu meri aadat ke hathon kaisi zich aur kitni diq thi jab hairat ki ungli thame tere sath chala karta tha ek shirin muskan ki belen mere tan bute ke upar istehqaq se chadhti thin aur ek lams ka gata pani nas nas dip jalata tha lams ke jugnu aur muskan ki titli mere khilaune the in donon ki duri sahna jine jaisa mushkil tha in ko pallu mein bandhe tu jab bhi dur kahin jati thi main wiswas ki dor se lipta pichhe pichhe aa jata tha sab logon se, har raste se tera pata puchha karta tha ab hairat ki ungli thame tu ek aise des gai hai jis ke sab bazar aur galiyan, sare ghar aur sab chaubare gahri dhund mein sar-basta hain, guzre kal se paiwasta hain main is dhund ke chaurahe par nam aaankhon ko ponchh raha hun rote rote soch raha hun kis ko rokun kis se puchhun kya meri man ko dekha hai? is raste se ho ke gai thi apni ek buri aadat se kaisa zich aur kitna diq hun