sada ki manind is baras bhi tamam kawwon ke jhund koyal mukut pe qabiz nashe mein pagal phudak rahe hain fath pe apni uchhal rahe hain nirash koyal ki jis ke sine mein huk ban kar udas koyal ki jis ki shah-e-rag pe kuk ban kar hazar naghme dhadak rahe hain wo aashiyane mein ban ke gungi paron mein nannhi surili dilkash dhunen samete sapat nile falak ko chup-chap dekhti hai jo is baras bhi ye kah raha hai khamosh rahna kabhi na kahna ki jab bhi koyal ki kuk gunji ye aap apna mukut siyanon se chhin legi ki jite ji kya teri chahak ko tera gharaunda tu jis ka mehwar bani hui hai tu jis mein zinda chuni hui hai ki jis ka farsh aur chhat bhi tu hi jis ki diwar-o-dar bhi tu hi tu hi hai jis ghar ka rang-o-roghan wahi tera teri jaan gharaunda tujhe ya teri nawa ko zinda riha karega riha hui to gharaunda kya yun saja rahega