madar-e-hind ke fankar the mirza 'ghaalib' apne fan mein bade hushyar the mirza 'ghaalib' aap ka nam asadullah tha nau-shah laqab mirza ghaalib se hue baad mein maruf-e-adab aaj bhi padh ke kalam aap ka hairat mein hain sab zulf-e-urdu mein giraftar the mirza ghaalib madar-e-hind ke fankar the mirza ghaalib akbarabad mein paida hue dehli mein rahe ahd-e-tifli hi se duniya ke bade zulm sahe ab bhi har ahl-e-sukhan aap ko ustad kahe sare shoara ke alam-dar the mirza ghaalib madar-e-hind ke fankar the mirza 'ghaalib' tang-dasti mein bhi chhoda na wafa ka daman muflisi mein bhi na apnae khushamad ke chalan khun-e-jazbaat se shadab kiya bagh-e-sukhan fitratan shaer-e-khuddar the mirza 'ghaalib' madar-e-hind ke fankar the mirza ghaalib aap par farsi shoara ka bhi tha khub asar masala khidmat-e-urdu ka bhi tha pesh-e-nazar apne ashaar ki azmat se bhi waqif the magar 'mir' ji ke bhi taraf-dar the mirza 'ghaalib' madar-e-hind ke fankar the mirza 'ghaalib' khat-nawisi ka diya ek anokha andaz gunj uthi bazm-e-adab mein ye nirali aawaz aap maidan-e-sukhan mein bhi the sab se mumtaz sath hi ek bade nassar the mirza 'ghaalib' madar-e-hind ke fankar the mirza 'ghaalib' be-niyaz-e-gham-o-alam har ek fikr se dur ho musibat mein bhi rahte the hamesha masrur aaj bhi jin ke latife hain jahan mein mashhur muskuraate hue kirdar the mirza 'ghaalib' madar-e-hind ke fankar the mirza 'ghaalib'