ammi ne jo din mein diye un sikkon ko liye hue main nindon mein dub gaya dudh ki nahren bahne lagin shahd ke jharne girne lage mithe ras ki barish hai barfi ki inton ke makan halwe ki diwaren hain meri jeb mein sikkon ki khanak suni to sapne mein yunhi duniya-dari mein mithe ban kar aae hain paison par lalchae hain