chakkar khati charkhi par ghum kar tere hathon mein pani ke chand hi qatron se main apne aap simat jati kabhi gol rakabi ke jaisi kabhi chipti kason ki pyali kabhi garm alaw aur thande jazbe main apne andar samo jati meri qimat tu ne kya jaani jab aala kanch ke bartan aae tu ne jhat se mujh ko tod diya mere bhole pyare sathi re tu farq na itna jaan saka kaghaz ke naqli phulon mein aur narm gulab ki patti mein