man kahti hai jab tum chhote the to aise achchhe the sab aabaad gharon ki maen peshani par bosa dene aati thin aur tumhaare jaise beton ki khwahish se un ki goden bhari raha karti thin hamesha aur main tumhaare hone ki rahat ke nashe mein kitni umren chur rahi thi ek ek lafz mere sine mein atka hai sab kuchh yaad hai aaj ki main ek umr nigal kar baitha hun umr ki aakhiri sarhad ki banjar mitti jab se man ke honton se girte lafzon mein kanpti hai meri sans tadap uthti hai us ke mitte naqsh mere andar kohram si ek taswir bane hain zindagiyon ke khokhle ban par aansuon lipti hansi mere honton pe larazti rahti hai achchhi man umr ke chalte sae ki tazlil mein tere lahu ke ras ki lazzat tere ghurur ki sari shaklen un raston mein mitti mitti kar aaya hun pathrili sadkon pe apne hi qadmon se khud ko raund ke guzra hun mere lahu ke shor mein teri koi bhi pahchan nahin hai teri ujli shabih kuchh aise dhundlai hai tujh se wasl ki aankh se binai zail hai main tere dardon ka mara teri hi surat mein bhi ek jiwan haara