be-faiz saaton mein munh-zor mausamon mein khud se kalam karte ukhdi hui tanabon din-bhar ki sakhtiyon se ukta ke so gae the barish thi be-nihayat mitti se uth rahi thi khushbu kisi watan ki khushbu se jhankte the galiyan makan dariche aur bachpane ke aangan ek dhup ke kinare aasaishon ke maidan udte hue parinde ek ujle aasman par do nim-baz aankhen bedariyon ki zad par ta-hadd-e-khak udte be-samt be-irada kuchh khwab fursaton ke kuchh nam chahaton ke kin paniyon mein utre kin bastiyon se guzre thi subh kis zamin par aur shab kahan pe aai mitti thi kis jagah ki udti phiri kahan par is khak-dan pe kuchh bhi daim nahin rahega hai panw mein jo chakkar qaem nahin rahega dastak thi kin dinon ki aawaz kin ruton ki khana-ba-dosh jage khemon mein ud rahi thin aankhon mein bhar gai thi ek aur shab ke ninden aur shahr-e-be-aman mein phir subh ho rahi thi