mujhe apne jine ka haq chahiye

mujhe apne jine ka haq chahiye
zamin jis pe mere qadam tik saken

aur taron bhara kuchh falak chahiye
mujhe apne jine ka haq chahiye

nematen jo mere rab ne dharti ko din
saf pani hawa barishen chandni

ye to har ibn-e-adam ki jagir hain
ye hamari tumhaari kisi ki nahin

mujh ko talim sehat aur ummid ki
sat rangon bhari ek dhanak chahiye

mujhe apne jine ka haq chahiye
na hawa saf hai na faza saf hai

wo jo aab-e-baqa tha wo na-saf hai
zamin ho samundar ho ya aasman

ek zara sochiye ab ki kya saf hai
maut se pur-khatar hai ye aaludgi

dosto dil mein thodi kasak chahiye
mujhe apne jine ka haq chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close