tere liye mein kya kya sadme sahta hun sanginon ke raj mein bhi sach kahta hun meri rah mein maslahaton ke phul bhi hain teri khatir kante chunta rahunga tu aaega usi aas pe jhum raha hai dil dekh ai mustaqbil ek ek kar ke sare sathi chhod gae mujh se mere rahbar bhi munh mod gae sochta hun be-kar gila hai ghairon ka apne hi jab pyar ka nata tod gae tere bhi dushman hain mere khwabon ke qatil dekh ai mustaqbil jahan ke aage sar na jhukaya main ne kabhi siflon ko apna na banaya main ne kabhi daulat aur ohdon ke bal par jo ainthe un logon ko munh na lagaya main ne kabhi main ne chor kaha choron ko khul ke sar-e-mahfil dekh ai mustaqbil zulf ki baat kiye jate hain din ko yun raat kiye jate hain chand aansu hain unhen bhi 'jalib' nazar haalat kiye jate hain