un se kahna ki wo apni is jang mein ab akele nahin aaj ki jang sab ki hai aur sare waqton ki hai apne apne mahazon ki dahliz par hum bhi morcha-band aur saf-ba-saf un ke ham-dosh hain hum ki khamosh hain hum ki khamosh hain ketli ka talatum nahin chikhne ke hunar-shanasa nahin be-mahal halq-bazon andhere ke af-af-zanon ki tarah un se kahna ki hum lamhe lamhe ke hamra dhadakte hue apne hone ki har shakl par khud gawahi bane aaj ki jang mein un ke ham-dosh hain aur sar-e-sina-o-dosh tanba na loha magar hum nihatte nahin amn bhi hain mohabbat bhi hum razm bhi dars-e-ibrat bhi hum sidq ke zor se fikr ki kat aur dard ki dhaar se lais shamshir-e-khama siper-e-lauh hum un se kahna ki jo aaj ki jang wo lad rahe hain wo sab ki hai aur sare waqton ki aur un ki tarah hum bhi is jang mein apne apne mahazon pe parcham-kusha in ke ham-dosh hain apne aadarsh ki chaukiyon ke nigah-dar ghafil nahin garche khamosh hain