dew-malaon ke sutunon par khadi hone wali dewiyan shahzadon ke parastar hone ka intizar karti hain ek shahzade ko haram-zada banne mein faqat kisi shah ki shah darkar hoti hai haram-zadgi bahar-haal ek kaifiyat hai jabki haram-kari ek amal chunki aamal ka dar-o-madar niyyaton par hai is liye dewiyon par shak karna himaqat hai magar descartes ka kahna hai sach ke idrak ke liye shak na-guzir hai sach wahi hai jo dewmalai nahin hai sach wo bhi hai jo nafi ke munafi hai magar nafi ba-zat-e-khud hone ki dalil hai man-ghadant dewtaon ke han aurat zalil hai jabki aurat ke yahan quwwat-e-takhliq hai takhliq se magar taqat ko taklif hai taklif ka ilaj dewmalaon ki ijad hai aur ijad ki man to zarurat hai zarurat ka bap albatta na-malum hai