na rahne ka dukh

ek aisa lamha aaega
jab kanpegi shakhon par rangon ki lau

aur khushbu mar jaegi
jin aankhon ne sab samton par phaili hui nili chadar ko

aur suraj ko dekha hoga
aur sitare dekhe honge

aur ye duniya
insanon se ladi hui masum si duniya dekhi hogi

wo na rahengi
dilon ke andar basne wale jazbe thak kar sochenge

jitni bhi kaifiyaten hain
sari mayyaten ban jaengi

tu na rahegi
main na hunga

hum donon ne mil kar jitne ped lagae
wo na rahenge

kuchh na rahega
na rahne ke dukh ke siwa


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close