wo shahr jis ki kunwariyon ke gulab pinde asil khwaja-saraon ke be-sifat jismon se munsalik hon wo shahr jis mein badan ka sona rafaqaton ki bajae suraj ki hiddaton se pighal raha hai wo shahr jis mein sadaqaton ko shahid karne qadam qadam par sitam saliben gadi hui hun jahan jahaalat zakawaton se khiraj mange to aise shahr-e-ghanim-e-jaan ko tabah hone se koi kyunkar bacha sakega