zindagi milti hai lekin munh chhupa kar hum us ka munh tatolte hain kya yahi hai zindagi lekin nahin wo bahut makkari se hum se munh mod kar chali jati hai chhodti hai apne pichhe ek lakir hamari khushiyon ko lapet kar ye ja wo ja hum us lakir ke pichhe bhagte hain bhagte rahte hain yahan tak ki hum khud ko bhi kho baithte hain rah jata hai bas ek dhuan jo koi lapet kar le jata hai aur bant deta hai un logon mein jo hum se mohabbat karte the nafrat ki ki aad mein