wae nadariyan hae majburiyan rasm-o-adab ke bas mein hai zindagi ghair ki ho ke pardes jati ho tum hasrat-o-yas-o-hirman mein dubi hui jaise shadab si jhil mein ek kanwal chadhte suraj ki tezi se kumlae hai ya ba-ahd-e-bahaaran kisi ek sabab jaise phulon se rangat utar jae hai har saheli tabassum-ba-lab hai magar tum hi maghmum ho tum hi khamosh ho jaise gulchin ka sare chaman-zar mein ek kali par hi kuchh zulm ho dosh ho khamushi sad zaban-o-bayan ki tarah apni duniya ke dukh dard kahti hui phir bhi apnon se begangi si liye waqt ki dhaar par naw bahti hui wo udasi ki huron ko afsos ho hon farishte bhi aisi faza mein khajil aur kis kis ko ai 'daur' ilzam dun kuchh pasija to hoga khuda ka bhi dil