apna hi sa ai nargis-e-mastana bana de main jab tujhe jaanun mujhe diwana bana de har qaid se har rasm se begana bana de diwana bana de mujhe diwana bana de ek barq-e-ada khirman-e-hasti pe gira kar nazron ko meri tur ka afsana bana de har dil hai teri bazm mein labrez-e-mai-e-ishq ek aur bhi paimana se paimana bana de tu saqi-e-mai-khana bhi tu nashsha o mai bhi main tishna-e-hasti mujhe mastana bana de allah ne tujh ko mai o mai-khana banaya tu sari faza ko mai o mai-khana bana de tu saqi-e-mai-khana hai main rind-e-bala-nosh mere liye mai-khane ko paimana bana de ya dida-o-dil mein mere tu aap sama ja ya phir dil-o-dida hi ko virana bana de qatre mein wo dariya hai jo aalam ko dubo de zarre mein wo sahra hai ki diwana bana de lekin mujhe har qaid-e-tayyun se bacha kar jo chahe wo ai nargis-e-mastana bana de aalam to hai diwana jigar! husn ki khatir tu apne liye husn ko diwana bana de kab tak nigah-e-yar na hogi mutabassim tu apna har andaz harifana bana de munkir tu na ban husn ke eajaz-e-nazar ka kahne ke liye apne ko begana bana de jab tak karam-e-khas ka dariya na umand aae tu aur bhi haal apna safihana bana de but-khane aa nikle to kaba ki bina dal kabe mein pahunch jae to but-khana bana de jo mauj uthe dil se tere josh-e-talab mein sar rakh ke wahin sajda-e-shukrana bana de jab mail-e-altaf nazar aae wo khud-bin tu har nigah-e-shauq ko afsana bana de kaunain bhi mil jae to daman ko na phaila kaunain ko bhula hua afsana bana de phir arz kar is tarah 'jigar' shauq o adab se bebak agar jurat-e-rindana bana de tujh ko nigah-e-yar! qasam mere junun ki naseh ko bhi mera hi sa diwana bana de main hun tere qadmon mein mujhe kuchh nahin kahna ab jo bhi tera lutf-e-karimana bana de
This is a great sorry janu shayari. True lovers of arifana shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore dosti yaariyan shayari. Please share if you liked this!!!