nazm

agar qaum ki hai taraqqi ki khwahish
suno kan dhar ke hamari guzarish

ghurur-o-hawas ka namuna amiri
badi is se hindostan mein faqiri

tawangar wahi hai jo rahta hai qane
gharibon ki khidmat na ho jis ko mane

gharibon se hans hans ke karte hain nafrat
samajhte hain apne ko haqdar daulat

saza-war un ko amiri nahin hai
jinhen aadat-e-dast-giri nahin hai

tawangar gharibon pe kyon nukta-chin hain
gharibi kisi ka gunah to nahin hai

bhare hain jo daulat se tum ne khazane
karo qaem us se yahan kar-khane

ghategi nahin is se daulat tumhaari
badhegi gharibon mein izzat tumhaari

gharibon ko mehnat ka pesha milega
dukanon pe sawdeshi sauda milega

taraqqi hai qaum-o-watan ki isi se
bahaaren hain apne watan ki isi se

jo gahraiyon mein ye pani rawan hai
karo is se sairab sahra jo yan hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close