dil masarrat ki farawani se diwana hai aaj dekhna ye kaun aakhir zeb-e-kashana hai aaj kaif-e-sehba-e-tarab mein gharq-e-maikhana hai aaj har shajar saqi-e-mai har phul paimana hai aaj ghuncha-o-gul the yahi lekin ye ranai na thi is gulistan mein bahaar is dhum se aai na thi nargis-e-makhmur hai lazzat-e-kash-e-khab-e-nishat phut nikla hai gul-e-nasrin se sailab-e-nashat ahl-e-mahfil ke liye mushkil hai ab tab-e-nashat aaj paimanon se chhalkegi mai-e-nab-e-nashat par-fishan hai jazba-e-pinhan ubharne ke liye muztarib hai zarra zarra raqs karne ke liye phir idhar aae na aae ye shamim-e-jaan-faza phir mayassar ho na ho aisa saman aisi hawa chhed is andaz se ai mutrib-e-rangin-nawa tut jae aaj ek ek tar tere saz ka zikr jis ka zohra-o-parwin ke kashane mein hai wo sanam bhi aaj apne hi sanam-khane mein hai khalida tu hai bahisht-e-turkmani ki bahaar teri peshani pe nur-e-hurriyat-e-aina-kar tere rukh se partaw-e-masoom-e-mariyam aashkar tere jawon ki sabahat se farishte sharmsar gul pasheman qalb-e-bulbul rashk se do-nim hai teri baaton mein khumar-e-kausar-o-tasnim hain yun to hum har sham-e-ilm-o-fan ke parwane rahe ye haqiqat hai ki hum tere bhi diwane rahe muddaton apni zaban par tere afsane rahe tu rahi begana lekin hum na begane rahe yaad teri ek zamane se hamari dil mein thi tu yahan aane se pahle bhi isi mahfil mein thi shauq ki shorish jamal-o-nur ka sailab hai har kali saz-e-tarab hai har nazar mizrab hai aankh hairan ruh-e-arbab-e-wafa betab hai ye hamare khwab ki tabir hai ye khwab hai lala-o-gul kya chaman bhi tere qadmon par nisar ye guhar-ha-e-sukhan bhi tere qadmon par nisar ai muqaddas hur ai parwarda-e-mauj-e-nasim ruh-e-ishrate-gah-e-sahil jaan-e-tufan-e-azim tu ne turkon ko dikhai hai siraat-e-mustaqim phunk dale hain tassub ke hijabaat-e-qadim zoaf dikhlai hai jab bhi fitrat-e-ahrar ne aag barsa di hai tere nutq-e-gauhar-bar ne rah chuki hai hath mein tere wo tegh-e-be-niyam jis ki jumbish ne badal dala hukumat ka nizam tark-e-uftada ko tu ne hi diya izn-e-khiram tere hi hathon ne chhalkae hain aazadi ke jam tu ne jo ehsan kiya hain millat-e-ahrar par naqsh hain ab tak sanwarna ke dar-o-diwar par han bata de hum ko bhi ai ruh-e-arbab-e-niyaz kis tarah mitta hai aakhir rang-o-khun ka imtiyaz dil pe kyun kar fash ho jate hain aazadi ke raaz chhedte hain kis tarah mahfil mein bedari ka saz teri aankhon mein surur-e-ishrat-e-jamhur hai aah ye jauhar hamari dastaras se dur hai mahram-e-dard-o-masarrat raaz-dar-e-subh-o-sham mahfil-e-fitrat ki khamoshi hai tujh se ham-kalam teri hasti aasman-e-tark ka mah-e-tamam tu mohabbat har nafas tera mohabbat ka payam gulshan-e-mashriq mein manind-e-saba aai hai tu subh-e-raushan ka payam-e-jaan-faza lai hai tu qurbat-e-gul kis qadar jaan-bakhsh hai kharon se puchh chand ki tanwir mein kya lutf hai taron se puchh nashsha-e-sahba mein kya lazzat hai mai-kharon se puchh chaarasazi mein maza kya kya hai bimaron se puchh ruh-o-dil ko jagmaga de jalwa aarai teri kam se kam itna to kar jae masihai teri koi dam mein is gulistan se nikalna hai hamein farsh-e-gul se dur angaron pe chalna hai hamein khar-zar-e-gham ko pairon se kuchalna hai hamein jada-e-manzil mein girna hai sambhalna hai hamein dars aisa de ke dil aazurda-e-manzil na ho fikr-e-la-hasil na ho andesha-e-baatil na ho