ye barr-e-azam ki sari balaen suna hai ki ab muntashir ho rahi hain falak-bos tahzib ke cactus jhonpadon ki riwayat ko das rahe hain magar kam nahin ye ki apni zamin aur apni faza mein siyah paikaron ki do-dhaari ana aur aahan iradon ne apne liye ab nae tewaron ke ujale tarashe andheri zaminon se mere nikale khat-e-ustuwa ke ghane jangalon ki amal-dariyon mein hain dipak jalae qabilon ki har bahami jang ko shakh-e-zaitun ke zamzame hain sunae dahakte hue reg-zaron ke niche siyah zar ke chashmon ko mahmez di hai ye tahrik ye inqalab sare nelson madela tumhaari ragon mein naya khun shab-o-roz pahuncha rahe hain tumhaari hatheli ko suraj mein tabdil karne lage hain tumhaari nazar mein bhare manzaron ki dhanak bo rahe hain salakhon ke pichhe akele nahin tum siyah barr-e-azam tumhaari jilau mein nahin sari duniya tumhaari jilau mein