hamara rujhan yaqinan harami-an tak ja chuka hai hamare saron par khauf musallat ho raha hai kya hum junun ki had jagte hue jazbaat nahin bak rahe waqai hamari bedari ek sochi-samjhi sazish hai hum ne junun ki had tak ishq kiya hum ne junun ki had tak mubasharat ka lutf liya ab hamein hamara hi kal jhinjhod raha hai use kaise alag karen be-fikr be-khauf kutte haddiyon par ladte hue ab hamari taraf lapak rahe hain us ke munh se girta hua safed jhag zamin ko tari pahuncha chuka aur isi tar hoti zamin se ek nazuk pauda ug kar bahut sare pighalte hue sawalon ke jawab na-qabil-e-yaqin sachchai ke dosh par ptriyon ke hare hare patton ki khamosh chhanw mein phisalte jaenge