ai aish-mahal ke rahne walo dekho to kabhi nazar utha kar haal apne padosiyon ka bhi kuchh tute hue jhonpadon ke andar insan ki shakl mein bahaim aulad-e-bashar giddhon se bad-tar na-chaar-o-tabah-o-zar-o-bimar ruswa-o-zalil-o-khwar-o-abtar faqon ki hai jin ke rukh pe zardi fikron se jo ho rahe hain laghar kapda nahin jin ke tan pe sabit chadar hai na jin ke pas bistar sukhi hui rotiyan bhi jin ko milti nahin do do waqt aksar dekhi nahin amn-o-afiyat ki surat bhi jinhon ne zindagi-bhar qismat mein nahin hai jin ki aaram kolhu ka jo bail hain sarasar lekin tumhein ghaaliban ye ek baat malum nahin hai banda-parwar sadqa hai unhin ki jutiyon ka sari ye tumhaari shaukat-o-farr gar pher len ye nazar kuchh apni tum ko na rahe khabar kuchh apni