nilgun abr chhata surmai sham ke suraj ki tilai kirnen marmarin barf ke billor badan par barsen jhumte pedon ki bahon mein mahakte jhonke peng si le ke pari-chehra munderon ki jabin par umde dhund ki malgaji aaghosh mein khwabida makanon ki chhaton ne apni chhatiyan khol ke angdaiyan lin zalzala tha ki mera wahm tha kuchh tha jis se tharthara utthe mere hath aur in ke niche jhanjhana utthi thi yun balcony ki reling jaise baj uthen kisi saz ke tar aur main laut ke kamre mein chala aaya tha ahmarin shaal mein lipti hui ek ladki ne chae ki pyali mere hath mein dete hue haule se kaha tha ab to is sukun-zar mein koi bhi nahin apne siwa tum jinhen rog samajhte the wo sab log gae awwalin barf ke padte hi meri ka har ghar be-sada chhod gae is ke makin shor ka nam nahin ab to yun chup na raho ji mein aaya tha ki us se kah dun sab kahan tum to abhi tak ho yahan par lekin jaane kya soch ke khamosh raha