koi mujh ko daur-e-zaman-o-makan se nikalne ki surat bata do koi ye sujha do ki hasil hai kya hasti-e-raegan se ki ghairon ki tahzib ki ustuwari ki khatir abas ban raha hai hamara lahu momyai main us qaum ka fard hun jis ke hisse mein mehnat hi mehnat hai nan-e-shabina nahin hai aur is par bhi ye qaum dil shad hai shaukat-e-bastan se aur ab bhi hai ummid-e-farda kisi sahir-e-be-nishan se meri jaan shab-o-roz ki is mashaqqat se tang aa gaya hun main is khisht-kobi se ukta gaya hun kahan hain wo duniya ki tazin ki aarzuen jinhon ne tujhe mujh se wabasta-tar kar diya tha teri chhatiyon ki ju-e-shir kyun zahr ka ek samundar na ban jae jise pi ke so jae nannhi si jaan jo ek chhipkili ban ke chimti hui hai tere sina-e-meharban se jo waqif nahin tere dard-e-nihan se ise bhi to zillat ki pabandagi ke liye aala-e-kar banna padega bahut hai ki hum apne aaba ki aasuda-koshi ki padash mein aaj be-dast-o-pa hain is aainda naslon ki zanjir-e-pa ko to hum tod dalen magar ai meri tera raaton ki sathi ye shahnaiyan sun rahi ho ye shayad kisi ne masarrat ki pahli kiran dekh pai nahin is dariche ke bahar to jhanko khuda ka janaza liye ja rahe hain farishte usi sahir-e-be-nishan ka jo maghrib ka aaqa tha mashriq ka aaqa nahin tha ye insan ki bartari ke nae daur ke shadyane hain sun lo yahi hai nae daur ka partaw-e-awwalin bhi utho aur hum bhi zamane ki taza wiladat ke is jashn mein mil ke dhumen machaen shuaon ke tufan mein be-mahaba nahaen