dewta ke gun gane walon udta suraj kya hai udta suraj ek paheli badi purani suna ambar jis ko har din dohraata hai aprampar andheron mein wo an-jaani maut ki jaanib jadu ki naw pe chadha dur bahut hi dur ko udta jata hai udta suraj kya hai bhagto ek rupahli shan hai chandi ka shoala hai uthti aur nikharti kheti pakta phal hai lal lahu mein lahren leti garmahat hai is baste sansar mein chamkila din hai udta suraj kya hai ki do dhan hai soz bhari ya jalta hai ambar pe diya aasmanon aur zaminon ke raja ka din aur din ke bich mein aane wale thande andhiyare mein dil ko dhaaras dene wala dhyan jo fawware ki surat nur bikhere udta suraj kya hai aankho hai bade gyani chitrkar ki jaanta hai jo apne kaam ke sare nukton ko baaton ko aur ambar par sanjh sawere khinchta hai wo apne dil ke bijon ki rang birangi jalti aur dahakti parton ki taswiren udta suraj kya hai aag hai jo sansar ke sare jine walon ki rag rag aur reshe reshe mein jalti hai
This is a great aankho se shayari. True lovers of shayari raja hindustani will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this bhakti shayari maa durga is truly a work of art. Please share if you liked this!!!