bahut din hue ek talab ke pas main ne parindon ko dekha falak par bhatakte hue chand baadal the aur subh ki dhup mein halki halki si thandak wahan gahre talab ke pas unche darakhton ki is ot mein dhup ki thandi thandi si kirnon se lipte hue sabz patte darakhton se talab mein gir rahe the wahin main ne dekha ki duniya ke sare parinde na jaane kahan se zamanon ke phaile hue faslon se ubharte hain talab ke pas aa kar utarte hain aur bolte hain wahin main ne un sab parindon ko unche darakhton pe nili fazaon mein talab ke paniyon par kinaron pe har samt dekha wo udte hue hans gati hui bulbulen mor sadiyon ke qasid kabutar wo aise parinde bhi jo apne namon ko bas aap hi jaante hain wo nadir sadaen ki jaise wo sadiyon ke asrar ko kholti hun wo chahkar jaise wo an-dekhi duniyaon se aa rahi ho parindon ki boli ke asrar ko sikhte din kata raat guzri bahaaren khizaen palat kar kai bar aain bahut din hue main ne jab un parindon ko dekha aur ab un ki ghaibi sadaon ke asrar ko chaar-su dekhta hun mujhe ilm hai har sada dur se aane wali sada hai har ek shai mein koi ishaarat nihan hai