ab nahin aaunga main tumhaare kisi dam mein ab nahin aaunga ek muddat hui kashti-e-dil ko jazbon ke sailab se khinch laya hun main aur aankhon mein shabnam ke badle chamakti hui dhup hai dhup se jism sara pighal kar nae rup mein dhal gaya is nae rup mein koi khwahish nahin is kadi dhup mein koi saya nahin aur sae ka arman bhi kis ko hai is liye ai faramosh lamho mujhe phir na aawaz do