phulon ki bahaar

de rahi hai lutf gul-mehndi ki har jaanib qatar
is ki har har shakh par hain phul behad be-shumar

surkh hai koi gulabi hai koi nila koi
chhoti chhoti chittiyan hain baz phulon par padi

ek jaanib phul gende ke khile hain zard zard
jin ke aage rang sone ka bhi ho jata hai gard

is ki khushbu se moattar daman-e-gulzar hai
phul ye champa ka hai ya tabla-e-attar hai

dekh kar bashshash ho jata hai qalb-e-pur-mehan
phul gudhal ka hai ya aaweza-e-gosh-e-chaman

mahw-e-hairat hai latafat dekh kar rang-e-gulab
ye wo gul hai jis ka mil sakta nahin hargiz jawab

husn mein dubi hui hai is ki har har pankhudi
is ki khushbu hai masham-e-arzu ki zindagi

subh ko is ke liye kya kya tarasti hai nasim
kya qayamat hai gul-e-shab-bu ki jaan-parwar shamim

ya-ilahi in mein ye baaten kahan se aa gain
dekh kar hairan rah jati hai chashm-e-nukta-bin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close