dur shadab pahadi pe bana ek bangla lal khaprailon pe phaili hui angur ki bel sehn mein bikhre hue mitti ke raja-rani munh chidati hui bachchon ko koi diwani seb ke ujle darakhton ki ghani chhanw mein panw dale hue talab mein koi ladki gore hathon mein sambhaale hue takiye ka ghilaf an-kahi baaton ko dhagon mein siye jati hai dil ke jazbaat ka izhaar kiye jati hai garm chulhe ke qarin baithi hui ek aurat ek paiwand lagi sadi se tan ko dhanpe dhundli aankhon se meri samt take jati hai mujh ko aawaz pe aawaz diye jati hai ek sulagti hui cigarette ka bal khata dhuan phailta jata hai har samt mere kamre mein