purane shahron ka safar

jab mein apne bahut purane shahron mein jaunga
meri gathri mein mutthi bhar mitti

kuchh phal phul, sitare honge
kuchh galiyan, kuchh murtiyan

kuchh rang ba-rang aqide
kuchh nazzare honge

aur mere hamrah, mere ahbab
birha ke mare honge

hawa kahegi kyun aae ho
ye sab chizen kyun lae ho

aasman par udte hue anjaan parinde
chhote chhote jhundon mein dharti par utarte

sab ko dikhai denge
aur purane shahron wale

apne gharon ki chhaton par chadh ke
barson talak duhai denge

aur hamari fath ke nare dur dur tak
chaaron taraf sunai denge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close