pyar insan ki zarurat hai dur dil se kare kudurat hai pyar ulfat wafa murawwat hai pyar hamdardi-o-ukhuwwat hai pyar ki chah har bashar ko hai justuju us ki har nazar ko hai budhe bachche jawan ya bimar har-nafas ki talab bana hai pyar pyar kuchh is qadar zaruri hai zindagi pyar bin adhuri hai pyar hai do dilon ka mel nahin buz-dilon ke ye bas ka khel nahin pyar to aasman ki wusat hai pyar sare jahan ki rifat hai pyar ki mehrbaniyon ke tale unche unche pahad bhi hain khade pyar dariyaon ki rawani hai pyar ek an-kahi kahani hai pyar ek be-baha khazana hai ye haqiqat hai kab fasana hai pyar chudi ki har khanak mein hai pyar ghunghru ki har jhanak mein hai pyar nari ki mang ki bindi pyar urdu zaban hai aur hindi pyar chanchal jawan hasin raaten pyar masum-o-shokh-tar baaten pyar andhe ki aankh ki jyoti pyar nirbal ke hath ka moti